ZAKAT NA ADA KARNE KE AZAAB AUR ZILLATEN

Huzoor Nabiye Akram Noore Mujassam Fakhre Adam O Bani Adam صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Irshadaat Ki Roshni Me Padhiye

✒Hadees:
Faqeer Hargiz Nange Bhooke Hone Ki Takleef Na Othayenge Magar Maal Daron Ke Hathon,
To Aye Maldaro Sun Lo, Allah Tum Se Sakht Hisab Lega Aur Dardnak Azab Dega

📚الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، جلد-2، صفحہ-275، رقم الحدیث-5.

✒Hadees:
Dozakh Me Sab Se Pehle 3 Shakhs Jayenge Unme Ka Eik wo Maaldar Jisne Apne Maal Me Se Allah Ka HAQ Ada Nahi Kiya
📚 صحیح ابن خزيمة، كتاب الزكاة، باب ذكر إدخال مانع الزكاة النار.....إلخ، جلد-4، صفحہ-8، الرقم الحديث-2249.

✒Hadees:
Sahi Sanad Se Ye Hadees Hazrat Abdullah Bin Masood رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai Farmate Hain, Hame Hukm Hua Namaz Padhen Zakat Den, Jisne Zakat Nahi Dee uski Namaz Qubool Nahi
📚المعجم الكبير، جلد-10، صفحہ-103، الرقم الحديث-10095.

✒Hadees:
Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Eik Martaba Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Khutba Padha Aur Farmaya......
Qasam Hai Uski Jjiske Hath Me Meri Jaan Hai, isko 3 Baar Farma Kar Sar Ko Jhuka Liya, To Hum Sab Ne Sar Jhuka Ke Rona Shuru kiya, Hame Ye Nahi Maloom Huzoor Ne Qasam Kyu Khai, Phir Huzoor Ne Apna Sare Mubarak Uthaya To Chehre Par Khushi Ke Aasar Jhalak Rahe The, To Hame Ye Baat Laal Oont Se Ziyadah Pyari Maloom Hui, Aap صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya, Jo Bandah 5 WAQT Ki Namaz Padhta Hai, Ramzan Ka Rozah Rakhta Hai & Zakat Deta Hai, Aur 7 Bade Gunaho Se Bachta Hai Uske Liye Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain Aur Hukm Hota Hai Salamti Ke Saath Dakhil Ho Ja
📚سنن النسائي، كتاب الزكاة، باب وجوب الزكاة، صفحہ-399، الرقم الحديث-2435

✒Hadees:
Hazrat ALQUMA Kehte Hain Huzoor Ne Farmaya....
Tumhare islam Ka Pura Hona Ye Hai ki Apne Malon Ki Zakat Do
📚مجمع الزوائد، كتاب الزكاة، باب فرض الزكاة، جلد-3، صفحہ-198، الرقم الحديث-4326.

✒Hadees:
Hazrat Abdullah ibne Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Ne.....
Jo Allah O Rasool Pe imam Laya, Wo Apne Maal Ki Zakat Ada kare, Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo HAQ Bole Ya Chup Rahe Lekin Buri Baat (Gali/Galoch/jhagda) Zaban Se Na Nikale, Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo Apne Mehman Ki Izzat Kare
📚المعجم الكبير، جلد-12، صفحہ-324، الرقم الحديث-13561.

In Tamam Muqadsas irshadat Ko Padhne Ke Baad Bhi Koi Kum Naseeb Zakat Ki Ahmiyat Ko Nahi Samjheha, Aur Apne Maal Ko Burai Se Azab Se Paak Na Karega To Us Badbakht Ka Kya ilaj ?
Kis Qadar Afsos Ka MAQAM Hai Ki Is paak Mahine Me Kitne Musalman Aise Hain Jinke Ghar Chulha Nahi jalta Aur Koi To Wo Hai Jiske Paas Rakhne Ki Jagah Nahi Magar use YE TAUFEEQ Nahi Ki Un Garibon Nadaron Mufliso Ki Khabar Le.....
Aaj Arab Mamalik Me Daulat Ki Rel Pel Hai Aur Barre Sageer Me Lakhon Musalman Bhukmari Ke Shikar Hain imaan O islam Ke Baland O Bala Naare Lagane Wale Kabhi inki Bhi Khabar Le.....
Hum musalman Hain Hamara Har Farz Se Bada farz Allah O Rasool Ke faraman Ke Aage Sar Kham Karna Hai Hame musfliso Nadaron Garib Yateem Bewa Bekas Lachar Musalmano Ki Khabar Leni chahiye Insha'Allah ispe Amal hua To Amaan hi Amaan Qayam hoga