*HADEES*
     
_NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya Ahle Jannat ke sar par aise Taj honge jinka chote se chota moti bhi Mashriq wo maghrib ke darmiyan ki chizou ko roushan kardega._
*(Jame Tirmizi,Hadith no:2562)*
_NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya Qasam hai us zaat ki jiske qabza e qudrat me meri jaan hai! Kisi shakhs ke dil me imàan dakhil hi nahi hosakta jab tak ke wo tum (Ahle Bait) se ALLAH aur uske RASOOL Sallallahu alaihi wasallam ki khatir Mohabbat na kare._
*(Jame Tirmizi,hadith no:4125)*
_NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya Safen durust rakho aur milkar khade raho, kyun ke yaqinan Main tumhe pit ke piche se bhi dekhta ho._
*(Sahih Bukhari, hadith no:718)*
_NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya Marizou ki iyadat karo aur janaze ke piche chalo ye tumhe Aakhirat ki yaad dilayega._
*(Sahih Ibne Hiban,hadith no:3017)*
_NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya Qayamat ke din Logou me se Mere sab se zyada qareeb wo shakhs hoga jo Duniya me sab se zyada Mujh par Durood Bhaijhta hai._
*(Jame Tirmizi,hadith no:483)*
_HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya Jisne wuzu hone ke bawajood wuzu kiya uske liye 10 nekiyan likhdi jati hai._
*(Sunan e Abu Dawood,Hadith no:62)*
              *SABAK*
_ALLAH TAALA ne irshaad farmaya Tum behtereen ummat ho ,jo tamaam insanaou ke faide ke liye layi gayi hai._
*(Surah Aale Imraan:110)*
_Ummul mominen hazrath Ayesha siddiqa raziallahu taala anha farmati hain Mujhe Duniya me ye 3 cheezen pasand hain:_
_1) ALLAH TAALA ke Fazal par pura bharosa karna,_
_2) Maqlooq se parhez karna,_
_3) jo kuch ALLAH TAALA ne diya hai is par raazi rehna._
_Ambiya Ekram ka zikar karna Ibadat hai, aur Aouliya wo Salihen ka zikar karna gunahou ka kaffara hai._
*(Kanzul Ummal, hadith no:32247)*
____________________________
_ sawab ki niyyat se share kariye apke friends aur groups me_
Download Islamic Audio,Video www.diniraah.in