ZAKAT K BARE
ME FARMANE
ILAAHI:
QURAN
Jo Log Allah ki
Raah me
Kharch krte
He
unki Mishal us Dane ki he
Jis se Saat balein niklen
har baal me 100 Dane aur
Allah jise
Chahta he
Zyada Deta
he
Aur allah
Wus'at
Wala
Bada
Ilm Wala he
Jo log
Allah ki raah
Main
apna maal kharch
Krte Fir Kharch
krne k Baad
Na ahsaan
Jatate
Na aziyat
dete
Unke lie
Unka Sawaab unke
Rab k Huzur
hai Aur na
unpr kuch khauf hai
Aur na
Wo Gamgeen
Honge,
(surah baqara ayat 262)

"Allah Ta'ala Irshad Farmata Hai:
Aur Falaah Paate Hain Woh Jo Zakat Ada Karte Hai
Para:18,Sure Mominun, Ayat:4

QURAN:
Aur Jo Kuch Tum Kharch Karoge, Allah Uski Jagah Aur Dega Aur Wo Behtar Rozi Dene Wala Hai
Para:22,Sure Saba,Ayat:39

ZAKAT DENE K FAYDE:
Allah ta'ala farmata he
k Kamyabi pate he wo log jo
Zakat adaa
krte he,
aur farmata
he
jo kuch tum
Kharch kroge
Allah ta'ala uski
jagah aur dega
aur Allah behtar
Rozi dene
wala hai
aur farmata he
Jo log
Bukhal krte hai
uske sath jo
Allah ne
Apne Fazl
se unhe
Diya
wo ye gumaan
Na kare
K ye unke
lie achha he
Balki ye
unke lie
bura he
usi chiz ka Qayamat
k din unke
gale me
TauQ dala
jaega
jiske sath Bukhal kia,
(QURAN" Qanune shariat 1/193)

Wo jo apne
Maal
Kharch karte Hai
Raat & Din
me chhupe aur Zahir
unke lie unka
nek hissa hai
unke rab ke pass
(baqarah 274)

QURAN:
Beshak wo jo
imaan
Laye
aur achhe kam
kie
Namaz Qaim ki
Zakat di
unka nek
inaam
unke
Rab k pass
he
(Baqarah 277)

QURAN:
HarGiz Neki Hasil Na Kar Sakoge Jab Tak Usme Say Kharch Na Karo Jise Mehboob Rakhte Ho
(Al.imran,92)

ZAKAT DENE KI FAZILAT:
Allah Ta'ala Farmata Hai:
Anqarib Me Niyamaton Ko UnkeLiye Likh Dunga Jo Darte
Aur
ZAKAT Dete Hain.
(Sure Al-Araf:156)

ZAKAT KITNE
MAAL PAR WAJIB Hoti hai
52.5 tola Chandi
ya
7.5 tola SONA
ya
itne paise
jitne me
52.5 tola Chandi
Kharidi
ja sakti ho
zakat wajib
hui

ZAKAAT Kitni
dena wajib Hai
MAAL KA
40 WA HISSA YANI
100rs ki 2.50 ZAKAT
H
mishal k taur par:
25 hazar ki
625rs.
Zakat hui
(BAHAReSHARIAT part-5)

ZAKAT FARZ Hy ISKA INKAR KARNE WALA KAFIR OR NA DENE WALA FASIQ JHANNAMMI OR ADA KRNE ME DER KRNE WALA GUNAHGAR Hy
{Fatawae
Aalamgiri J.1.P.140}

ZAKAT wajib
hone k lie
Kuch sharten,
Muslman hona
Balig hona,
Aqil hona,
Azad hona,
Malike Nisab,
pure taur pr malik hona,
Nisab ka hajate
aslia se farig hona
(yani ghar me istemal wali chizon se alag itna maal hona jitne par zakat wajib He)
Maal ka apne naam me hona zaruri H
Utni Rakam
par
ek saal gujarna
jitni par Zakat wajib hai
agar ek saal pehle zakat wajib hone se kam paise
the to
uspar abhi
Zakat Nahi
deni hogi
(Qanune shariat)

ZAKAAT
KIN LOGO KO
Dena chahiye
zakat k masarif 7
hai
1.FAQIR
2.MISKIN
3.AAMIL
4.RIQAAB
5.GARIM
6.FI SABILILLAH
7.IBNE'SABEEL

1.FAQIR: wo hai jiske pass Kuch ho magar itna k nisaab se kam ho
Agar kuch ho bhi
to hajate aslia se ho
JAISE: rehne ka ghar Aur zindagi basar karne ki
dusri chizen
jyada hon
tab bhi usy zakat de sakte hain
mas'ala:
agar uske pas kapde aur khane ko hoto
bagere zarurat & majburi faqir ko sawal krna haram hai
(alamgiri)

2.MISKIN: wo hai jiske pass kuch na ho yahan tak k badan
chhupane tak k lie uska mohtaj hai khane
k lie kuch na ho
usko zakat dena jaiz hai

3.AAMIL: wo log hai jinko
imaamul muslemeen ne sadqe basool karne par Muqarrar kia ho imaam usko itna de k usko aur uske madadgaro ko kaafi ho magar itna na dia jaye k jo wasool karlia hai
uske aadhe se
zyada ho jaye,
Agar amil maldaar ho to bhi usko lena jaiz hai
(alamgiri)

4.RIQAB: se murad
mukatab Ghulam ko dena
k apne malik ko maale zakat
dekar apni
jaan
chhudaye,

5.GARIM Se murad madyoon hai yani uspar itna Karza ho k usy nikalne
k baad
nisab baqi na rahe agar chahe uska auron par baaqi ho magar unse lene par Qadir na ho
magar shart ye
h k Hashmi na ho
usko zakat de sakte hain
(durre mukhtar)

6.FI'SABILILLAH:
yani allah ki me kharch
krna uski kayi suratein hai
jaise koi
jihaad me jana chahta hai aur saman uske pass nahi
to zakat ka maal de sakte hai
ya koi
hajj krna chahta
he aur uske pass paisa nahi magar usko mangna jaiz nahi,
ya talibe ilm
jo ilme deen sikhta hy usey bhi
zakat di ja sakti hai
aise hi har nek kaam
me zakat kharch karna fi sabilillah h
jab k batore tamlik
(malik bana dena)
ho bager malik banaye zakat adaa nahi ho sakti
(durre mukhtar)

mas'ala
kuch log zakat ka maal
islami madarso
me bhej dete hai
unko
chahiye k bata dia kare
k ye zakat hai taki wo usko alag rakh de kisi aur maal me na rakh de
kisi kaam ki
ujrat me na de warna
zakat adaa na hogi,
(durre mukhtar)

7.IBNE'SABEEL:
yani wo musafir jiske pass
maal na raha k wo apne ghar na ja sakta ho chahe wo maaldar hi
kyu na ho lekin uske pass us waqt nahi hai
to wo zakaat le sakta hai
magar utne jitni uski zarurat ho jyada lena uske liye jaiz nahi
(in masail k hawale k lie
Bahare shariat, durre mukhtar me paden)