(QURBANI K MASAIL)

"Allah ko hargiz na unka
gosht pahunchta he na
unka khoon
han
tumhari parhezgari ustak
pahunchti H
#al-hajj ayat.37

QURAN
aur humne har ummat k lie
1 Qurbani muqarrar farmayi
k allah ka naam le uske die hue chopayo par
(al-hajj.34)

QURBANI ye 1 maali ibadat hai
jo malike-nisab par wajib
hai
khaas janwar ko khas Din
allah k lie sawab
ki niyat se
zabah karna Qurbani
Hai
#Qanune.Shariat p.210

Yaad Rakhen,
Har Malike Nisab
yani
52.5 Tola chandi(Silver)
ya
7.5 Tola sona(Gold)
ya
Inme Se Kisi 1Ki Qimat k Malik
Mard O Aurat
Par
Har Saal
Qurbani WAJIB Hai,
(fatawa alamgiri)

Qurbani K Janwar Ki Umar
-Uonth 5 Saal ka
-Bail,Gaaye 2 Sal
-Bakara/Bakri 1 Sal
Isse Kam Umr ho
to Qurbani Jayez Nhi
Zyada hoto Afzal
Hai

Dekha ye gaya
hai !
k
Log Ek Ghar me Ek Qurbani
karte hai
Hukm ye hai ki
Jis-Jis par Qurbani Wajib hai
Sabki taraf-se Qurbani ki jaye

Qurbani me
Gaaye bail k 7 Hssa
Aur
Uonth k 7 Hsse h
Yani
In dono Janwaro me
7-7 Aadmi Qurbani me Hissa le sakthe h
aur
Bakra Sirf 1 Hissa

Gosht Khane ki Niyat-se Janwar Na Kharide aur Na Paala jaye Balki
ALLAH ki RAZA k lie Qurbani honi chahiye
Dikhawa
ShoBazi krna Jayez Nhi

Aksar shaadi suda aurto par
qurbani wajib hoti he
kyo ki
unke paas jo zewar
hai
unki kimat takriban
"nisaab" k barabar
tak pahunch
jati hai?

4.Janwar ki Qurbani Durust Nhi

1-KAANA,jska kanapan zahir
ho
2-BIMAR,jski bmari zahr
ho
3-LANGDA
4-Aisa Kmzour jski Haddio me guda naho

pyare nabi sllallahu alyhi wasllam
ne
is ummat
k lie Qurbani ki
(MUSLIM)
jsse hoSake wo
nabiepak
k naam ki bhi Qurbani kare
(bahare shariat)

Agar Sahibe-Nisab(maaldar)
Ki Qurbani Ka Janwar MAR Jaye To
Qurbani MAAF Nahi,DUSRA Janwar Lakar Qurbani
Kare
#Alamgiri

Qubani k masail ksi achhe sunni alim
ya imam-se malum kre
ksi be-padhe
shakhs-se malum na
kre
k aksar aise logo ko
poori
bat malum nahi hoti

Kuch JahilLog
bepadhe jo khdko
alim
smajte h shriat k
MsailMe
Baheskrte h
Unkibat na
mani jae
Shriat k Msailme GaireAlim k
bat manna jaizNhi

Aamtor par
Ye Riwaj he
Poore Ghar ki taraf-se
ek bakra Qurban Kardia jata h
Halanki malike-nesab Hon to
Ghar k sab afrad par Qurbani wajib h

Mas'ala:
JisPar QURBANI Waajib HE
Us Ko Khud Apne Naam Ki QURBANI Karna Waajib Hai,
Dusre Ke Naam Ki Na Kare.
=>FATAWA AMJADIYA:3:315

mas'ala
agr koi shakhs apne ksi
buzurg k nam-se Qrbani
KrnaChahe to wo
Pehle apne naam ki Kre
Fir unke naam ki
Srf 1 unke nam ki Nhi kr skta

QURBANI AGAR MAYYAT Ki WASIYYAT PAR HUYI
TO
PURA GOSHT SADQA KARNA WAJIB HAI

APNI KHUSHI SE KI
TO
KHUD BHI KHAYE
&
AURO KO BHI DE
(B.SHARIAT)

Qurbani Ki
aur
Janwar k Pait me
Zinda Bacha hoto
Use bi ZIBAH krde
aur
Mraa Hua Bacha hoto
Use fenk de
Murdaar he
(Bahar-e-Shariat)

BAHOT ZARURI:
Janwar k samne CHHURI tez na kare!

Jabtak janwar thanda na ho tabtak
chamda chhilna & paaun katna
shuru na kare!

TAKBIRE TASHREEQ
ALLAHU AKBAR
ALLAHU AKBAR
LAA ILAA-HA
ILLALLAAHU
WALLAHU AKBAR
ALLAHU AKBAR
WA LILLAAHILHAMD

9 zil'hajj ki fajar-se
13 ki asar tak
har farz namaz k baad
3 5 ya 7 baar padhe
(bahare shariat)

9-Zilhajja yani
Yaum-e-Arfa ka roza
HUZOOR ne farmaya-MUJHE ALLAH par guman hy k
ARFE ka ROZA 1 saal pahle & 1saal baad k gunah mita
deta h
#B.Sh.5

MAS'ALA
(QURBANI KA GOSHT)
ke 3 hisse karen
1 apne lie
2 ristedaro ko de
3 fakiro ko de
Qurbani ka gosht
Kafiro ko na den
(bahare shariat)

BAHOT ZARURI:
Janwar k samne CHHURI tez na kare!

Jabtak janwar thanda na ho tabtak
chamda chhilna & paau katna
shuru na kare!

ek Janwar k samne dusra janwar ZUBAH na kare!

Apne hath-se zibah krna sunnat
h lekin dusre-se
kraye to apne samne krae
Qurbani k janwar ko Baye pehlu par is trha
Letaye k
Munh kaabe ki taraf ho

SUNNIYO KO TAAKID:
bad aQido ke paas
na qurbani ka hissa
Likhwae
na qurbani ki khaal de
aur
na hi unse apne janwar
zabah kraye

SUNNYO EK BANO NEK BANO
Qurbani ki khaal
SIRF
sunni idaaro hi me dijiye
idaare walo-se bhi arz he
khaalo ke liye aapas me
Jhagda na karen

SUNNIYO ALERT
Bad AQido K Idaro Me
Qurbani Ka Hissa LikhwaKar
Apni Qurbani Bekar Mat Karna
SIRF
Sahi AQida SUNNI Idaro Hi Me
Hissa Likhwaye

HADEES:
"Jis Shakhs ne Acche etikaad aur Sawab ki
Niyat me
Qurbani ki to
Ye
Qurbani Uske liye DoZakh se Nijaat ban jayegi"
(TIBRANI)

HADEES:
farmane-Nabiepaak
"JO QURBANI
KARNE KI TAQAT PAYE PHIR BHI QURBANI NA KARE TO WOH HAMARI
EID-GAAH KI
TARAF NA AAYE"
>MUSTADRAK
J.3/P.148

Rawi hazrat ayesha r.anha)
Nabiepak ne farmaya
Qurbani k dino me
ibne-adam
ka koi
amal allah k nazdik
Qurbani krne-se
Behtar nahi
(Tirmizi 1/1532)