MAS'ALA:
HALAAL JANWARO KI "AUJDI" KHANA MAKROOH-e-TAHREEMI HAI.
>FATAWA FAIZURRASOOL
Jild-2 Safa-433.

MAS'ALA:
QURBANI Kar Raha Tha, Ki Janwar Uchhla Ya Kuda Aur Usse Koi Aib Paida Hua To Harz Nahi. (Qurbani Ho Jayegi.)
>QANUNE SHARIAT Pg.238

MAs'ALA:
QURBANI Ka GOSHT KHUD BHI KHA SaKTA HAI AuR DuSRE maaldar
Ya FAQEER KO BHI KHILA SaKTA HAI.
-BAHAR-e-SHARIAT
PART-15,PAGE-144

Mas'ala:
ZABAH Se Pehle QURBANI Ke JANWAR Ke Baal Katna,

Ya Dudh Dohna MAKROOH Aur MAMNOO' Hai.
>Bahar-e-Shariat Jild:15 Safa:145

MAS'ALA:
10wi Zil Hijja Ki Subhe Sadiq Se 12wi Ke Suraj Doobne Tak QURBANI Ka Waqt Hai
Yani 2 RAAT Aur 3 Din Hai

Mas'ala:
"Malike Nisab Ne QURBANI Ki Mannat Mani
To Uske zimme 2 Qurbaniya waajib Hogi
1-Ghani Ki
Dusri Mannat Ki Wajah Se
>B.SHARIAT

HADIS:
Qurbani K WaQt Qurbani hi karni WAAJIB Hai,
Itni Qimmat
Ya
Itni Qimmat ka JAANWAR SadQa karne se WAAJIB ada na hoga
>AALAMGI

HUZURE PAAK Ne Farmaya-
Jo Aadmi Qurbani Karne Ki Taaqat Rakhta Ho
Iske Ba_Wajood Qurbani Na Kare
Wo Hamari Eidgaah Me Na Aaye.
(HAKIM:3468)

QURBANI agar MANNAT ki hy to uska gosht na khud kha sakta hy na gani ko khila sakta hy balke sara gosht SADQA karna WAJIB hai-B.Shariat P-15

GAUS-E-PAAK:

Naye Kapde Pahenna
EID Nahi,
Balke EID To ALLAH
Aur
RASOOL Ki Ita'at Karna
Aur
Gunaho-Se Door Rehna Hai"

>GUNIYATUT-TAALIBEEN

Mas'ala:
Qurbani Wajib Hone Ke Liye
Musalman Azaad AAQIL(AQL Wala) Hona
Shart Hai
-Apne Shaher Ke Sunni Ulma
SE Qurbani k Masaeel Puchen

Eid-ul-Fitr
aur
10,11,12 Zil-Hijja
ke Dino me
ROZA rakhna
Makruh-e-Tehrimi
aur
Na-Ja'iz
hai"
(RADDUL MOHTAAR)

www.diniraah.in