Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aa’la Hazrat,  Mujaddid e deen o millat, Imaam e Ahle sunnat, Azeem ul barkat, Faazil e Bareilwi.

**********
Aap ki wilaadat 10 Shawwaal 1272 Hijri (14 June 1856 A.D.) ko Bareilly (Uttar Pradesh) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Naqi Ali Khan ibn Raza Ali Khan rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Husaini khaanam binte Asfanadar yaar beg hai.

Aap Hazrat Qais Malik Abdur Rasheed radi-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

**********
Aap bachpan se hi bade zaheen the.

Aap ne 4 baras ki umr me Qur’an majeed mukammal kiya.
Aap ne apne waalid se Dars e Nizaami ki taalim mukammal ki.
Aap ne Mirza Ghulaam Qaadir Baig rahmatullāhi alaihi  se ‘Meezan e Munsha’ab’ ki taaleem haasil ki.

Aap ne Hazrat Maulana Abdul Ali Rampuri, Hazrat Allama Shaah Aal e Rasul Marehrawi, Shaikh-e-Kabeer Hazrat Allama Sayyed Shaah Abul Husain Ahmad-e-Noori Marehrawi,  Shaikh Ahmad bin Zain-e-Dahlaan Makki, Shaikh Abdur Rahmān Makki aur Shaikh Husain bin Saalih Makki se bhi taaleem haasil ki.

Aap ne 6 saal ki umr me Rabi’ ul Awwal me Milaad e Rasool ke unwaan par shaandar taqreer farmai.
8 saal ki umr me Arabi zabaan me 1 kitaab likhi.
14 Sha’abaan 1286 Hijri ko 13 baras 10 maah ki umr me pehla Fatwa likha aur Dastaar e Fazeelat ata ki gai.

**********
Bachpan me aap ne Maah e Ramazaan me roza rakha. Bahot garmi hone ki wajah se aur aap par abhi roza farz nahi tha is liye aap ke waalid aap ko ek kamre ke andar le gaye aur kamra band karke meethai di aur kaha ‘Ise kha lo’. Aap ne kaha ‘Maine roza rakha hai.’ Aap ke waalid ne kaha ‘Darwaaza band hai, Koi nahi dekhega. Tum khaa lo. Tum abhi bache ho.’ Aap ne kaha ‘Bhale koi na dekh raha ho. Magar mera Rab jis ke liye maine roza rakha hai wo to dekh raha hai.’

**********
1291 Hijri (1874 A.D.) me 18 saal ki umr me aap ka nikaah Sayyeda Irshaad Begum bint Shaikh Fazle Husain se hua.

Aap ke 2 bete aur 5 betiya hain.
2 Saahabzaade :
(1) Haamid Raza Khan (Hujjat-ul-Islaam)
(2) Mustafa Raza Khan (Huzoor Mufti e Aazam e Hind).

Aap ki 2 saahabzaadi ka nikaah aap ke bhatije Hazrat Mufti Allama Hasnain Raza Khan bin Hasan Raza Khan rahmatullāhi alaihi ke saath hua.

**********
1294 Hijri (1877 A.D.) me Hazrat Maulana Abdul Qaadir Badayuni rahmatullāhi alaihi Bareilly Shareef  aaye aur aap un ki daawat se un ke saath  Marehra shareef gaye. Jab waha pahunche to aap ne farmaya ‘Mujhe mere peer ki khushbu aa rahi hai.’ Jab aap Khaanqaah-e-Barkaatiya  me pahunche to Hazrat Sayyed Shaah Aal e Rasool Barkaati Marherawi rahmatullāhi alaihi ne aap ko dekhkar farmaaya ‘Aao. Main kab se tumhara intazaar kar raha tha.’
Aap bai’at karke Hazrat ke mureed ho gaye.

Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi ne aap se farmaaya ke ‘Yaha mureed hokar khilaafat haasil karne ke liye aane walo ko pehle mujaahida karna padta hai. Jab wo us darje par pahunch jaata hai tab hi use khilaafat aur ijaazat milti hai.’
To Sayyedina Shah Aale Rasool rahmatullāhi alaihi ne foran kaha ke ‘ Aye logo, Ahmad Raza pehle hi se ALLĀH ta’ala ki taraf se sanwaar karke bheja gaya hai. Sirf use silsile se jodna tha. Qayaamat jab me main Rab ta’ala ke saamne khada rahunga aur mujhe puchhega ki Tum apne saath kya laaye ho to main kahunga ki Aye mere Rab tera ata kiya hua Ahmad Raza lekar aaya hu.’

**********
Aap ne 2 baar Hajj ada kiye :
1295 Hijri (1878 A.D.) me apne waalid ke saath,
Aur 1323 Hijri (1906 A.D.) me apne bhai Maulana Hasan Raza Khan aur bete Haamid Raza Khan aur Mustafa Raza Khan ke saath.

**********
Aap ko Sunnat o hadees par mukammal yaqeen tha aur har amal Sunnat o hadees ke mutabik hi karte the.

Aap hamesha ba-jama’at namaaz ada karta.

Aap farmaate hain ke ‘Wali ki asl karaamat ye hai ke wo hamesha nek aur parhezgaar hota hai aur shariat aur sunnat par amal karta hai.’

(1) Ek baar ye afwah faili ke Bareilly Shareef  me Taa'oon (Plague) faila hai. Ittefaak se Aa’la Hazrat ko masoodo me soojan ho gaya aur dard itna shadeed tha ke aap ka munh bhi khul nahi pata tha aur tez bukhaar bhi tha. Jab doctor ko bulaya gaya to us ne jaanch karne ka baad kaha ke ‘Aap ko Plague hone ka andesha hai.’ To aap ne kaha ke ‘Ye mumkin nahi hai. Kyun ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne ek dua batai hai au farmaya hai ke jab koi badi beemari failne ki khabar suno to is dua ko padh lena. In sha Allah hifaazat ho jaayegi. Aur maine is masnoon dua ko padh liya hai.’
Phir aap ne farmaaya ‘Aye ALLĀH, Tere Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan ko sahi saabit kar de.’
Itne aap ne ghaib se ek aawaz suni ke miswaak aur kaali mirch istemaal karo.
Aap ne taklif bardasht karte hue bhi miswaak kiya aur apne munh me kaali mirch ke daane rakhe. Aisa karne se ALLĀH ke karam se aap ki takleef kam hone lagi aur aap me phir se taaqat aane lagi.
Aur is tarah us doctor ko maanna pada ke us ki tashkees (diagnosis) galat thi.

(2) Aap 1295 Hijri (1878 A.D.) me aap ke waalid ke saath hajj ke liye gaye. Hajj ke safar me jahaaz se waapas aate waqt samundar me toofan shuru ho gaya. Jahaaz ke kaptan ne aakar kaha ke ‘Toofaan itna tez hai ke shaayad ham nahi bach sakte.’
Ye sunkar aap ke waalid ne kaha ke ‘Aye mere bete, Mujhe mujh se zyada tumhari fikr hai.’
Aap ne farmaaya ke ‘Hume kuchh nahi ho sakta kyun ke maine jahaaz par sawaar hote hi bahri sawaari (safar) ki masnoon dua padh li thi aur mujhe yaqeen hai ke mere Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ka farmaan hamesha sahi hota hai. Is liye hamare jahaaz ko kuchh bhi nahi hoga.’
Thodi der me toofaan rook gaya aur kaptan ne aakar kaha ke ‘Ab hamare jahaaz ko koi khatra nahi hai.’

**********
Aap ne apne har amal se Huzoore akram Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam aur Aale rasool ke mukammal ishq ka saboot diya.

(1) Ek baar aap doli me bethkar Bareilly Shareef  ke bazaar se guzar rahe the. Aap ne doli uthaane walo ko doli rokne ke liye kaha aur puchha ‘Tum me se saadat kaun hai?’ Kisi ne jawaab nahi diya. Aap ne phir se ilteja karte hua ke ‘Meharbani karke bata do ke aap me kaun saadat hai. Mujhe aale rasool ki khushboo aa rahi hai.’
Tab ek hazrat ne kaha ‘Main aale rasool hu. Ghareebi aur majboori ki wajah se main doli uthane ka kaam kar raha hu.’
Aap ne foran haath chumkar kaha ke ‘Mujhe muaf kar dena.’
Phir aap ne us sayyedzaade ko doli me bithaaya aur khud un ki jagah par doli uthaakar chalne lage.

(2) A’ala Hazrat ko Hazrat Shaah Mahedi miyan Barkaati se bahot mohabbat thi aur aap un ki bahot ta’azeem karte the. Hazrat ko baadi aur bawaasir ki takleef thi. Un ke ek mureed Hajj karke Marehra shareef aaye. Apne Peer ki takleef sunkar unho ne is ke ilaaj ek taambe ka chhalla (angoothi) diya. Hazrat Shaah Mahedi miyan ko bahot zyada takleef thi. Is liye aap ne wo chhalla apne ungli me pehan liya. Ittifaq se A’ala Hazrat un dino me Marehra shareef tashreef laaye aur Hazrat Shaah Mahedi miyan ke ghar par qayaam kiya. Aap ne dekha ke Hazrat ne apni ungli me taambe ka chhalla pehna hai. Aap ne socha ke Hazrat ko kis tarah batau ke ye chhlla pehnna khilaaf e shariat hai kyun ke Sayyedzaade ke adab ka muamala hai. Aap ne ek tarkeeb ki aur Hazrat se arz kiya ‘Huzoor, Mujhe baadi ki takleef ka koi ilaaj bataaiye.’ Hazrat ne foran apni ungli me se wo chhalla utarkar aap ko diya aur kaha ‘Hamare ek mureed ne Madeena munawwara se ye chhalla laakar is beemaari ke ilaaj ke liye mujhe diya hai. Tum ise le lo.’ Aap ne adab ke saath us chhalle ko le liya aur Peerzaade ko is khilaaf e shariat kaam se rok diya aur un ko ehsaas bhi nahi hone diya.

***********
Karamaat :
‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar aap Rail se Pilibhit se Bareily ja rahe the. Raaste me Nawabganj station par train 1-2 minute ke liye ruki. Maghrib ka waqt ho chuka tha. Aap apne saathiyon ke saath namaaz ke liye platform par utre. Saathi pareshaan the ki train chali jaayegi to kya hoga. Lekin aap ne itminaan se Azaan dilwakar ba-jama’at  namaaz shuru kar di.
Udhar Driver train ka engine chalu karta hai lekin train nahi chalti. Engine uchalta aur phir patri par girta hai. T .T, Station Master, wagairah sab log jama ho gaye. Driver ne bataya ki engine me koi kharaabi nahi hai.
Achanak ek Pandit chikh utha ‘Wo dekho koi darwesh Namaaz padh raha hai, shaayad train isi wajah se nahi chalti?’ Ye sunkar log Aa’la Hazrat ke ird gird jama ho gaya.
Aap itminaan se namaaz mukammal karke jaise hi apne saathiyo ke saath Rail me sawaar hue to Rail chalu ho gai aur aage badhi.

(2) Bareilly Shareef me ek shakhs Auliya, Peer o Murshid aur bai’at me nahi maanta tha. Us ka ek dost Aa’la Hazrat se milne ke liye ja raha tha. Us ne us shakhs se kaha ke ‘Tum mere saath Aa’la Hazrat se milne chalo aur waha un se is baare me mobahisa kar lena. Wo ye baat kar raha tha ke us shakhs ne ek dukan me taazi mithai dekhi. Us ne kaha ke ‘Pehle ye mithaai lete hain, Phir main tumhare saath chalta hu.’ Us ne kaha ke Aa’la Hazrat milne ke baad waapas aate waqt raaste me yaha se mithaai le lenge. Bahot samjhaane par wo maana.
Aur dono Aa’la Hazrat ki baargaah me gaye. Dono waha baithe the, itne me ek mureed kuchh mithai lekar aaya aur waha haazir sab ko taqseem karne ke liye kaha.
Aa’la Hazrat ke darbaar me ye tareeqa tha ke jin ki daadhi hoti un ko do hisse diye jaate aur bagair daadhi wale ko ek hissa diya jaata kyun ki wo bache jaise lagte hain.
Is liye jo mureed taqseem karne ke liye khada hua wo isi tarah sab ko de raha tha.

Jab us shakhs ki baari aai to wo mureed use ek hissa de raha tha. Tab Aa’la Hazrat ne use do hisse dene ke liye kaha. To us mureed ne kaha ‘Hazrat, Is ki daadhi nahi hai.’
Aa’la Hazrat ne farmaaya ‘Us ko do hisse khaane ki khwaahish hai.’
Us shakhs ne jab ye suna to use pata chal gaya ke Aa’la Hazrat ko us ke dil ki khwaahish bhi khabar ho gai hai. Wo sharminda hua aur Aa’la Hazrat ka mureed ho gaya.

(3) Ek baar ek shakhs ko koi aisi badi beemaari ho gai ke kisi bhi tarah theek nahi ho raha tha. Wo kisi achhe doctor ka ilaaj karaane ke liye soch raha tha. Kisi ne use pehle Aa’la Hazrat se milkar baat karne ke liye mashwara diya.
Jab wo Bareilly Shareef pahunchkar Aa’la Hazrat ko talaash karta hua masjid me pahuncha. Aa’la Hazrat wuzu ke liye ja rahe the. Use dekhkar aap ne farmaaya ‘Tum tumhari beemaari ke liye aaye ho to us ka ilaaj is tarah karo. In sha’ Allāh tumhe shifa mil jaayegi.’

**********
Ek baar kisi ne khat me aap ke naam ke saath ‘Haafiz’ likh diya. Aap ne jab padha to socha ke main haafiz e Qur’an nahi hu. Is liye mujhe haafiz kehna sahi nahi. Magar main jald hi haafiz e Qur’an ban jaaunga.
Phir maah e Ramazaan me isha’ ke waqt me azaan aur namaaz ke dauraan Hazrat Allama Mufti Amjad Ali rahmatullāhi alaihi aap ko Qur’an majeed ka ek paara padhkar sunate aur aap us ko namaaz e taraaweeh me Qir’at me padhte. Aur is tarah Ramazaan ke khatm hone tak aap Haafiz e Qur’an ho gaye.

**********
Log agar kisi mas’ale ke liye talaash karte to Aa’la Hazrat bagair kitaab dekhe safa number ke saath us ka jawaab dete.

Aap din ko suraj dekhkar aur raat me sitaare dekhkar ghadi me waqt mila lete aur 1 minute ka bhi farq na hota.

**********
Aap Imaam e Ahle sunnat aur 14wi sadi ke Mujaddid e Islaam hain.

1317 Hijri (1900 A.D.) me Patna me Ahle Sunnat wal Jama’at ke ijtema ke dauran  Maulana Abdul Muqtadir Badayuni rahmatullāhi alaihi ne Aala Hazrat ko ‘Mujaddid’ kehkar khitaab kiya.
Is ke ilaawa Shaikh Ismā’eel bin Khaleel aur Shaikh Moosā Ali Shaami rahmatullāhi alaihi aur dusre arab wa ajam ke ulema ne aap ko Mujaddid kaha hai.

**********
Aap ne apni kitaabo aur bayaano me bahot si buri bid’ato ko radd kiya hai.

(1) Mazaar (ya Qabr) ko Sajda, Rooku’ ya Tawaaf karna.
(2) Aurto ka mazaaraat par jaana.
(3) Maushiqi aur saaz (Music) wali Qawwaali.
(4) Mazaar par ya Majlis ya Juloos me nachna, gaana-bajaana.
(5) Taaziyadaari.

**********
Jab Mirza Ghulaam Ahmad Qadiani ne Imaam Mahdi hone ka aur phir Nabi hone ka daawa kiya tab Aap ne 1905 me Hajj ke liye gaye to ‘Al Motamad Al Mustanad’ naam se ek tahreeri saboot (Document) tayyaar karke Makka aur Madeena ke ulema ko paish kiya aur phir Hejaaz ke 33 ulema ki raay aur faisla jama karke Arabi me ‘Husaam-ul-Harmain’ naam ki kitaab tayyaar ki jis me Mirza Ghulaam Ahmad Qadiani ke kaafir hone ke saboot diye gaye hain.

**********
Aap ne Wahaabi aur Deobandi ke Ashraf ul Ambiya Khair ul bashar Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki gustaakhi bhare bad-aqeedo ko radd karte hue saboot paish kiya.

(1) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam Insaan-e-kaamil hone ke saath noor bhi hain.
(2) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ko ALLĀH ta’ala ne Mukhtaare kul banaya hai.
(3) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam Haazir wa naazir hain.
(4) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ko ALLĀH ta’ala ne Ilm e ghaib ata kiya hai.
(5) ALLĀH ta’ala ne apne Ambiya, Auliya aur Shohada ko wisaal ke baad bhi Aalam e baqa me hamesha ki zindagi ata farmai hai.
(6) ALLĀH ta’ala ke muqarrab bande ya’ni Ambiya, Auliya, Shohada, Ahle bait aur Saleheen ka waseela lena jaa'iz hai.

♦ 1323 Hijri (1906 A.D.) me jab aap dusri baar Hajj ke liye gaye the to Makka me sirf  8 ghante me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Ilm e ghaib ke saboot par ‘Addaulatul Makkiyah’ naam ki kitaab likhi. Jise padhkar arab ke aalimo ne aap ko Imaam maana.

**********
Tehreek e Khilaafat ke dauraan Mohandas Gandhi ko kisi ne Ahmad Raza Khan se milne ka mashwara diya. Jab aap ko bataya gaya ke Gandhi aap se milna chahte hain to aap ne farmaya ke ‘Wo kis baare me guftagoo karna chahte hain? Deeni ya Dunyawi? Agar dunyawi muamale me guftagoo karna chahte hain to main un se nahi mil sakta. Mujhe dunyawi baato me dilchaspi nahi hai.’

***********
1330 Hijri (1912 A.D.) me Aap ne ‘Kanz-ul -Eimaan fi Tarjuma al-Qur’an’ naam se Qur’an majeed ka Urdu tarjuma kiya hai.

Aap ne bahot saari mash'hoor Hamd e baari ta’ala, Na’at e Mustafa, Manqabat aur Munajaat likhi hain.

Aap ne 55 se zyada uloom par taqreeban 1000 kitaaben likhi hain.
Un me se kuchh mash'hoor kitaaben :

(1) Fataawa Razawiya (12 Jild)
(2) Ahkaam e Shariat
(3) Husaam-ul-Harmain
(4) Fataawa Harmain
(5) Addaulat-ul-Makkiya
(6) Al Fuyuzaatul Makkiya
(7) Azzubdat-uz-Zakiyya
(8) Al Ijaazat-ul-Mateena
(9) Kifl-ul Faqeeh.

***********
Aap ke shaagirdo me aap ke 2 bete Hujjat-ul-Islaam Haamid Raza Khan aur Mufti e Aazam e Hind Mustafa Raza Khan ke ilaawa Sadr-ush-Shariah Amjad Ali Aazami, Sadr-ul-Afaazil Maulana Naeem-ud-deen Muradabadi, Muhaddeese aazam-e- Hind Sayyed Muhammad Kachhauchhawi, Malik-ul-Ulema Zafar-ud-deen Bihari, Qutb-e-Madeena Ziya-ud-deen Ahmad al-Madani mash'hoor hain.

***********
Aap Hazrat Sayyed Shaah Aale Rasool Marehrawi Qaadri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se Tareeqat ka ‘Silsila e Razawiya’ jaari hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Hujjat-ul-Islaam Allama Maulana Muhammad Haamid Raza Khan
(2) Hazrat Mufti-e-aazam-e-Hind Maulana Mustafa Raza Khan
(3) Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Maulana Mufti Amjad Ali Aazami
(4) Hazrat Sadr-ul-Afaazil Allama Maulana Naeem-ud-deen Muraadabadi 
(5) Hazrat Qutb-ul-Madeena Allama Shaikh Zia-ud-deen Ahmad Madani 
(6) Hazrat Malik-ul-Ulema Allama Maulana Sayyed Zafar-ud-deen Bihaari 
(7) Hazrat Burhaan-e-Millat Allama Burhaan-ul-Haq Jabalpuri
(8) Hazrat Mubbaligh-e-aazam Allama Maulana Abdul Aleem Siddeequi Meerthi
(9) Hazrat Allama Maulana Mukhtar Ahmad Siddeeqi Meerathi
(10) Hazrat Allama Maulana Abdus Salaam Jabalpuri 
(11) Hazrat Shaikh Muhammad Abdul Hayy
(12) Hazrat Shaikh Ahmad Khaleel
(13) Hazrat Shaikh Ahmad Khudravi 
(14) Hazrat Shaikh Muhammad bin Abi Bakr 
(15) Hazrat Shaikh Muhammad Sa’eed
(16) Hazrat Maulana Sayyed Ahmad Ashraf
(17) Hazrat Maulana Shaah Sulaimān Ashraf
(18) Hazrat Maulan Jameel e Qaadri
(19) Hazrat Maulana Mufti Mahmood Jaan
(20) Hazrat Budh Shaah Babaa.

***********
Aap ke wisaal ke kuchh waqt pehle Shaam (Syria) ke kisi wali ne Baitul Muqaddas me khwaab me dekha ke Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki mehfil me aap ke aas-paas kuchh ashaba baithe hai jaise wo kisi ka intazaar kar rahe the.
Unho ne puchha ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Aap kis ka intazaar kar rahe hain?
Aap ne farmaaya ke ‘Ahmad Raza Khan.’
Unho ne puchha ‘Ahmad Raza Khan kaun hain?’
Aap ne farmaaya ke ‘Hindustan ke Bareilly ka ek aalim.’

Jab un ki aankh khuli to foran Syria  se Bareilly aane ke liye nikal pade. Lekin jab wo waha pahunche to pata chala ke Imaam Ahmad Raza Khan ka inteqaal ho chuka tha.

***********
Aap ne wisaal se pehle wasiyat ki thi ke meri namaaz e janaza Maulana Haamid Raza Khan ya Allama Amjad Ali Aazami padhayen aur mere janaza ko ‘Ka’abe ke Badr ud Duja’ padhte hue le jaayen aur meri qabr ko itni gehri banana jitni meri unchaai hai.

Apne wisaal ke 42 minute pehle aap ne farmaya ‘Mere kamre se paisa, lifaafa, card wagairah hata do kyun ki us par tasweer bani hoti hai.’

***********
Aap ka wisaal 25 Safar 1340 Hijri (28 October 1921 A.D.) ko azaan e Jum’aa ke dauraan 65 saal ki umr me hua.

Aap ka mazaar Bareilly Shareef (Uttar pradesh) me hai.

***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Aa’la Hazrat Imaam e Ahle sunnat Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi aur Tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.