IBADAT-E-SHAB-E-QADR

**********27 V SHAB ***********

1.27vi shab e qadr ko 12 rakat namaz 3 salaam se padhe. Har rakat me Baad Surah Fateha ke Surah Qadr 1 martaba aur Surah Ikhlaas 15 martaba padhe. Baad salaam ke 70 baar istegfaar padhe.

ALLAH TA’ALA iss namaz padhne wale ko nabiyo ki ibaadat ka sawab ata farmayega. IN SHA ALLAHUL AZEEM.

2. 27vi shab ko 2 rakat namaz padhe har rakat me Surah Fateha k baad Surah Qadr 3 martaba,SurahIkhlaas 5 martaba padhe baad salaam k Surah Ikhlaas 27 martaba padhkar gunaho ki magfirat talab kare. IN SHA ALLAH TA’ALA iss namaz padhnewale ke tamaam pichle gunah ALLAH PAK muaf farmayega.

3. 27vi shab ko 4 rakat namaz 2 salam se padhe. Har rakat me baad Surah Fateha ke Surah Takasur 1 martaba aur Surah Ikhlaas 3 martaba padhe.

Iss namaz padhnewale par se ALLAH PAK mout ki shakti aasan kar dega. IN SHA ALLAH TA’ALA us parse azaab e qabr bhi muaf ho jayega.

4. 27vi Shab e Qadr ko 2 rakat namaz padhe. Har rakat me baad Surah Fateha ke Surah Alam Nasrah1 martaba aur Surah Ikhlaas 3 martaba padhe. Baad salaam 27 martaba Surah Qadr padhe.

IN SHA ALLHUL AZIM beshumar ibaadat ka sawab milega. Yeh namaz bahot afzal hai.

5. 27vi Shab e Qadr ko 4 rakat namaz padhe. Har rakat me baad Surah Fateha ke Surah Qadr 3 dafa aur Surah Ikhlaas 50 martaba padhe. Baad salaam sajda me sar rakh kar ek martaba yeh kalamat padhe.

Subhanallahi walhamdulillahiwa la ilaha illallahu wallahu akbar

Iss ke baad jo hazat e deeni wa duniyawi talab kare wah IN SHA ALLAH TA’ALA baargahe baari Ta’ala me qabool hogi.

Wazifa:

27vi shab ko Surah Mulk 7 martaba padhna magfirat e gunah ke liye bahut fazilat ki baat hai.

(Panj surah)

ILTIJA-A-DUA
***********